Shahid Zaki

ab teri yaad se wahshat nahin hoti mujhko

Shahid Zaki

1974
ab tirī yaad se vahshat nahīñ hotī mujh ko
zaḳhm khulte haiñ aziyyat nahīñ hotī mujh ko
ab koī aa.e chalā jaa.e maiñ ḳhush rahtā huuñ
ab kisī shaḳhs kī aadat nahīñ hotī mujh ko
aisā badlā huuñ tire shahr kā paanī pī kar
jhuuT bolūñ to nadāmat nahīñ hotī mujh ko
hai amānat meñ ḳhayānat so kisī kī ḳhātir
koī martā hai to hairat nahīñ hotī mujh ko
tū jo badle tirī tasvīr badal jaatī hai
rañg bharne meñ suhūlat nahīñ hotī mujh ko
aksar auqāt maiñ ta.abīr batā detā huuñ
ba.az auqāt ijāzat nahīñ hotī mujh ko
itnā masrūf huuñ jiine kī havas meñ 'shāhid'
saañs lene kī bhī fursat nahīñ hotī mujh ko
Top Urdushayar.com