Shahid Zaki

jidhar bhi dekhiye ek rasta bana hua hai

Shahid Zaki

1974
jidhar bhī dekhiye ik rāsta banā huā hai
safar hamāre liye mas.ala banā huā hai
maiñ sar-ba-sajda sakūñ meñ nahīñ safar meñ huuñ
jabīñ pe daaġh nahīñ aabla banā huā hai
maiñ kyā karūñ mirā gosha-nashīn honā bhī
paḌosiyoñ ke liye vāqi.a banā huā hai
magar maiñ ishq meñ parhez se bañdhā huā huuñ
tirā vajūd to ḳhush-zā.eqa banā huā hai
burīda shāḳheñ haiñ yā sham.a-hā-e-gul-shuda haiñ
ḳhamīda peḌ hai yā maqbara banā huā hai
mire gunah dar-o-dīvār se jhalak rahe haiñ
makān mere liye ā.īna banā huā hai
shu.ūrī koshisheñ manzar bigāḌ detī haiñ
vahī bhalā hai jo be-sāḳhta banā huā hai
kisī duā ke liye haath uThe hue 'shāhid'
kisī diye ke liye tāqcha banā huā hai
Top Urdushayar.com