Shahid Zaki

mere KHuda kisi surat use mila mujhse

Shahid Zaki

1974
mire ḳhudā kisī sūrat use milā mujh se
mire vajūd kā hissa na rakh judā mujh se
vo nā-samajh mujhe patthar samajh ke chhoḌ gayā
vo chāhtā to sitāre tarāshtā mujh se
us ek ḳhat ne suḳhnavar banā diyā mujh ko
vo ek ḳhat ki jo likkhā nahīñ gayā mujh se
use hī saath gavārā na thā mirā varna
kise majāl koī us ko chhīntā mujh se
abhī visāl ke zaḳhmoñ se ḳhuun ristā hai
abhī ḳhafā hai mohabbat kā devtā mujh se
hai aarzū ki palaT jā.ūñ āsmāñ kī taraf
mizāj ahl-e-zamīñ kā nahīñ milā mujh se
ḳhatā ke ba.ad ajab kashmakash rahī 'shāhid'
ḳhatā se maiñ rahā sharminda aur ḳhatā mujh se
Top Urdushayar.com