fāsla rakkho zarā apnī mudārātoñ ke biich
dūriyāñ baḌh jā.eñgī paiham mulāqātoñ ke biich
kyā bharosa kam huā be-e'tibārī baḌh ga.ī
tanz kā lahja dar aayā pyaar kī bātoñ ke biich
tū bhī mere aks ke mānind mere saath hai
maiñ akelā kab rahā huuñ dukh bharī rātoñ ke biich
shikva-sanjī ne ḳhulūs--e-iltijā kam kar diyā
kuchh shikāyat bhī zabāñ par thī munājātoñ ke biich
band darvāze pe kyā 'āzar' duā ko haath uThe
yā adhūrī rah ga.ī dastak tire hāthoñ ke biich