Humaira Rahat

waqt ki aankh se kuchh KHwab nae mangta hai

Humaira Rahat

1959
vaqt kī aañkh se kuchh ḳhvāb na.e māñgtā hai
dil mirā ek duā raat ga.e māñgtā hai
ek āvāz tah-e-āb bulātī hai mujhe
ishq mujh se bhī vahī kachche ghaḌe māñgtā hai
dard kahtā hai kisī sā.at-e-tanhā meñ rahūñ
ik makāñ gahre samundar se pare māñgtā hai
zabt chāhe use ruḳhsat kī ijāzat mil jaa.e
ashk āñkhoñ se mohabbat ke sile māñgtā hai
dasht dar dasht liye phirtā hai mujh ko ye junūñ
imtihāñ ishq meñ kuchh aur kaḌe māñgtā hai
Top Urdushayar.com