Humaira Rahat

hawa ke sath ye kaisa moamla hua hai

Humaira Rahat

1959
havā ke saath ye kaisā mo.āmla huā hai
bujhā chukī thī jise vo diyā jalā huā hai
huzūr aap koī faisla kareñ to sahī
haiñ sar jhuke hue darbār bhī lagā huā hai
khaḌe haiñ sāmne kab se magar nahīñ paḌhte
vo ek lafz jo dīvār par likhā huā hai
hai kis kā aks jo dekhā hai ā.īne se alag
ye kaisā naqsh hai jo ruuh par banā huā hai
ye kis kā ḳhvāb hai tābīr ke ta.āqub meñ
ye kaisā ashk hai jo ḳhaak meñ milā huā hai
ye kis kī yaad kī bārish meñ bhīgtā hai badan
ye kaisā phuul sar-e-shāḳh-e-jāñ khilā huā hai
sitāra TūTte dekhā to Dar ga.ī 'rāhat'
ḳhabar na thī yahī taqdīr meñ likhā huā hai
Top Urdushayar.com