har ek ḳhvāb kī tābīr thoḌī hotī hai
mohabbatoñ kī ye taqdīr thoḌī hotī hai
kabhī kabhī to judā be-sabab bhī hote haiñ
sadā zamāne kī taqsīr thoḌī hotī hai
palak pe Thahre hue ashk se kahā maiñ ne
har ek dard kī tash.hīr thoḌī hotī hai
safar ye karte haiñ ik dil se dūsre dil tak
dukhoñ ke paañv meñ zanjīr thoḌī hotī hai
duā ko haath uThāo to dhyān meñ rakhnā
har ek lafz meñ tāsīr thoḌī hotī hai