kahānī ko mukammal jo kare vo baab uThā laa.ī
maiñ us kī aañkh ke sāhil se apne ḳhvāb uThā laa.ī
ḳhushī merī gavāra thī na qismat ko na duniyā ko
so maiñ kuchh ġham barā-e-ḳhātir-e-ahbāb uThā laa.ī
hamesha kī tarah sar ko jhukāyā us kī ḳhvāhish par
añdherā ḳhud liyā us ke liye mahtāb uThā laa.ī
sameTe us ke aañsū apne āñchal meñ to jaane kyuuñ
mujhe aisā lagā kuchh gauhar-e-nāyāb uThā laa.ī
mayassar thā na koī ḳhvāb in āñkhoñ meñ rakhne ko
so maiñ in ke liye ashkoñ kā ik sailāb uThā laa.ī