fasāna ab koī anjām paanā chāhtā hai
ta.alluq TūTne ko ik bahāna chāhtā hai
jahāñ ik shaḳhs bhī miltā nahīñ hai chāhne se
vahāñ ye dil hathelī par zamāna chāhtā hai
mujhe samjhā rahī hai aañkh kī tahrīr us kī
vo aadhe rāste se lauT jaanā chāhtā hai
ye lāzim hai ki āñkheñ daan kar de ishq ko vo
jo apne ḳhvāb kī tābīr paanā chāhtā hai
bahut uktā gayā hai be-sukūnī se vo apnī
samundar jhiil ke nazdīk aanā chāhtā hai
vo mujh ko āzmātā hī rahā hai zindagī bhar
magar ye dil ab us ko āzmānā chāhtā hai
use bhī zindagī karnī paḌegī 'mīr' jaisī
suḳhan se gar koī rishta nibhānā chāhtā hai