Rashid Aazar

KHayal ki tarah chup ho sada hue hote

Rashid Aazar

Hyderabad, Telangana, India

1931
ḳhayāl kī tarah chup ho sadā hue hote
kam-az-kam apnī hī āvāz-e-pā hue hote
taras rahā huuñ tumhārī zabāñ se sunñe ko
ki tum kabhī mirā harf-e-vafā hue hote
ajiib kaifīyat-e-be-dilī hai donoñ taraf
ki mil ke soch rahe haiñ judā hue hote
bahut aziiz sahī ham ko apnī ḳhud-dārī
maza to jab thā ki terī anā hue hote
ye aarzū rahī apnī jo umr bhar ke liye
tirī zabāñ pe rahe vo maza hue hote
sumūm kī tarah jiine se fā.eda kiyā hai
kisī ke vāste bād-e-sabā hue hote
hamesha mā.il-e-husn-e-butāñ rahe 'āzar'
kabhī to qā.il-e-husn-e-ḳhudā hue hote
Top Urdushayar.com