Humaira Rahat

aankhon se kisi KHwab ko bahar nahin dekha

Humaira Rahat

1959
āñkhoñ se kisī ḳhvāb ko bāhar nahīñ dekhā
phir ishq ne aisā koī manzar nahīñ dekhā
ye shahr-e-sadāqat hai qadam soch ke rakhnā
shāne pe kisī ke bhī yahāñ sar nahīñ dekhā
ham umr basar karte rahe 'mīr' kī mānind
khiḌkī ko kabhī khol ke bāhar nahīñ dekhā
vo ishq ko kis tarah samajh pā.egā jis ne
sahrā se gale milte samundar nahīñ dekhā
ham apnī ġhazal ko hī sajāte rahe 'rāhat'
ā.īna kabhī ham ne sañvar kar nahīñ dekhā
Top Urdushayar.com