Humaira Rahat

charagh hath mein tha tir bhi kaman mein tha

Humaira Rahat

1959
charāġh haath meñ thā tiir bhī kamān meñ thā
maiñ phir bhī haar ga.ī tū jo darmiyān meñ thā
maiñ āsmāñ kī hadoñ ko bhī paar kar letī
magar vo ḳhauf jo haa.el merī uḌaan meñ thā
thī zaḳhm zaḳhm magar ḳhud ko TūTne na diyā
samundaroñ se sivā hausla chaTTān meñ thā
badal bhī saktā hai aḳhbār kī ḳhabar kī tarah
tirā ye vasf bhalā kab mire gumān meñ thā
akelā chhoḌ diyā dhuup meñ safar ke liye
us ek shaḳhs ne jo dil ke sā.ebān meñ thā
yaqīn tujh pe bhā kis tarah maiñ kar letī
tazād had se ziyāda tire bayān meñ thā
Top Urdushayar.com