misāl-e-ḳhāk kahīñ par bikhar ke dekhte haiñ
qarār mar ke milegā to mar ke dekhte haiñ
sunā hai ḳhvāb mukammal kabhī nahīñ hote
sunā hai ishq ḳhatā hai so kar ke dekhte haiñ
kisī kī aañkh meñ Dhal jaatā hai hamārā aks
jab ā.īne meñ kabhī ban sañvar ke dekhte haiñ
hamāre ishq kī mīrās hai bas ek hī ḳhvāb
to aao ham use tābīr kar ke dekhte haiñ
sivā.e ḳhaak ke kuchh bhī nazar nahīñ aatā
zamīñ pe jab bhī sitāre utar ke dekhte haiñ
ye hukm hai ki zamīn-e-'farāz' meñ likkheñ
so is zamīn meñ ham paañv dhar ke dekhte haiñ