ta.alluq kī na.ī ik rasm ab ījād karnā hai
na us ko bhūlnā hai aur na us ko yaad karnā hai
zabāneñ kaT ga.iiñ to kyā salāmat uñgliyāñ to haiñ
dar o dīvār pe likh do tumheñ fariyād karnā hai
sitāra ḳhush-gumānī kā sajāyā hai hathelī par
kisī sūrat hameñ to apne dil ko shaad karnā hai
banā kar ek ghar dil kī zamīñ par us kī yādoñ kā
kabhī ābād karnā hai kabhī barbād karnā hai
taqāzā vaqt kā ye hai na pīchhe muḌ ke dekheñ ham
so ham ko vaqt ke is faisle par saad karnā hai