Rashid Aazar

wahi talluq-e-KHatir jo barq-o-baad mein hai

Rashid Aazar

Hyderabad, Telangana, India

1931
vahī ta.alluq-e-ḳhātir jo barq-o-bād meñ hai
dil-e-sitam-zada kī hasrat-o-murād meñ hai
har ek ahd kī hotī hai ik ḳhusūsiyyat
hamāre daur meñ yaksāniyat tazād meñ hai
kisī natīje pe pahuñche haiñ ġhaur-o-fikr ke ba.ad
to ye ki saarā jahāñ ek gard-bād meñ hai
agar nazar ho to paḌh lo payām-e-bedārī
fasīl-e-shahr pe likkhā huā fasād meñ hai
vo baat saarī kitāboñ meñ mil nahīñ saktī
jo inqalāb ke chhoTe se istinād meñ hai
vahī asās-e-mohabbat bhī hai aqīdat bhī
vo e'timād kā pahlū jo e'tiqād meñ hai
vahī to fan meñ rivāyat kī ruuh hai 'āzar'
vo ek chhoTā sā nukta jo ijtihād meñ hai
Top Urdushayar.com