Sajjad Shamsi

guzra hai nagawar unhen be-kasi ka shor

Sajjad Shamsi

Nairobi, Kenya

1914
guzrā hai nāgavār unheñ be-kasī kā shor
kānoñ meñ jin ke guuñj rahā hai ḳhushī kā shor
suntā nahīñ lahad meñ mujhe ḳhāmushī kā shor
tahtush-shu.ūr meñ hai abhī zindagī kā shor
mar mar ke maiñ ne apne farīze kiye adā
hai mere dam se aaj tirī bartarī kā shor
zanjīr-e-pā se laaj ġhulāmī kī rah ga.ī
har gaam par uThā hai mirī bandagī kā shor
haiñ qahqahe kisī ke kisī kī haiñ siskiyāñ
shāmil rahā ḳhushī meñ kisī bebasī kā shor
maanā har anjuman kā tarāna hai dil-navāz
'shamsī' hameñ aziiz hai apnī galī kā shor
Top Urdushayar.com