duāoñ meñ asar baaqī na aahoñ meñ asar baaqī
hai kuchh le de ke gar baaqī to hai ik chashm-e-tar baaqī
ye kaisā hādsa guzrā ye kaisā sāneha biitā
na āñgan hai na chhat baaqī na haiñ dīvār-o-dar baaqī
chaman vāloñ kī bad-zauqī pe kaliyāñ jaan khotī haiñ
na haiñ ahl-e-nazar baaqī na koī dīda-var baaqī
patā kyā pūchhte haiñ aap ham sahrā-navardoñ se
na apnā shahr hai baaqī mohalla hai na ghar baaqī
fazā.eñ chup havā.eñ chup sadā.eñ chup nidā.eñ chup
navā-e-nīm-shab baaqī na hai bāñg-e-sahar baaqī
ḳhudā jaane nizām-e-mai-kada ko kyā huā 'shamsī'
na vo husn-e-atā baaqī na vo lutf-e-nazar baaqī