Ahmad Husain Mail

kya roz-e-hashr dun tujhe ai dad-gar jawab

Ahmad Husain Mail

Hyderabad, Sindh, Pakistan

1914
kyā roz-e-hashr duuñ tujhe ai dād-gar javāb
a.amāl-nāme kā to hai peshānī par javāb
ruk ruk ke hañs ke yuuñ hī to de fitna-gar javāb
detā hai aur lutf mujhe terā har javāb
kis se misāl duuñ tirī zulf-e-darāz ko
umr-e-tavīl-e-ḳhizr hai ik muḳhtasar javāb
mushkil ke vaqt dil hī se kuchh mashvara kareñ
kyuuñ deñ kisī ko ġhair se ham pūchh kar javāb
karte haiñ sajda naqsh-e-qadam ko tamām log
hai ḳhāna-e-ḳhudā kā tirī rahguzar javāb
munkir-nakīr pūchhte haiñ DaañT DaañT kar
hoñ muntashir havās to kyā de bashar javāb
ḳhuld-o-saqar ke biich meñ hai koī ishq-e-yār
hai pul-sirāt kā ye mirī rahguzar javāb
kyuuñ sar jhukā rahā hai zarā aañkh to milā
degī mire savāl kā terī nazar javāb
ġhusse meñ yuuñ na aao ki ġhussa harām hai
tum baat hī se baat kā do soch kar javāb
zarroñ kī tarah ḳhaak meñ haiñ āshiqoñ ke dil
gar tū kare savāl to de rahguzar javāb
maiñ ne kiyā salām to chilman meñ chhup ga.e
dar-parda degī ab nigah-e-parda-dar javāb
hañgāma hashr kā sifat-e-gard rah gayā
tere ḳhirām kā na huā fitna-gar javāb
kyā apne bhole-pan se kaheñ dam meñ aa.e ho
har baat kā jo dete ho ab soch kar javāb
kyā hogā ḳhaak ho ke sar-e-charḳh jā.egā
ye zer-e-pā savāl vo bālā-e-sar javāb
likkhā hai mujh ko ho gayā terā lahū safed
maiñ bhī likhūñgā ḳhuun se sar phoḌ kar javāb
behosh kar ke pūchhte ho dil kā mudda.ā
detā bhī hai huzūr kahīñ be-ḳhabar javāb
ġhusse se kuchh kahūñ to vo kis tarah chup rahe
ik baat kā jo shaam se de tā-sahar javāb
chitvan se taaḌ jaate haiñ 'mā.il' kā mudda.ā
dil meñ idhar savāl hai lab par udhar javāb
Top Urdushayar.com