samajh ke huur baḌe naaz se lagā.ī choT
jo us ne aa.ina dekhā to ḳhud hī khaa.ī choT
nazar laḌī jo nazar se to dil par aa.ī choT
gire kalīm sar-e-tūr aisī khaa.ī choT
laboñ pe ban ga.ī missī jo dil par aa.ī choT
jagah badal ke lagī karne ḳhud-numā.ī choT
baḌe dimāġh se maarā nazar se jab maarā
baḌe ġhurūr se aa.ī jo dil par aa.ī choT
kisī kā tuur pe niklā hai haath parde se
baḌā mazā ho kare gar tirī kalā.ī choT
ye dauḌ-dhūp laḌakpan kī yak qayāmat hai
ki Thokaroñ se qayāmat ne ḳhuub khaa.ī choT
abhī uThī na thī nīchī nigāh zālim kī
taḌap ke dil ne kahā vo jigar pe aa.ī choT
jo aa.e hashr meñ vo sab ko mārte aa.e
jidhar nigāh phirī choT par lagā.ī choT
jo dil kā aa.ina mal mal ke ham ne saaf kiyā
phisal phisal ke tumhārī nazar ne khaa.ī choT
cluff nahīñ hai nishāñ hai ye chāñd-mārī kā
hamāre chāñd ne lo chāñd par lagā.ī choT
ġhash aa rahā hai mujhe zikr-e-lan-tarānī se
lagī hai dil pe mire lo sunī-sunā.ī choT
rukeñge kyā kaf-e-gustāḳh dast-e-rañgīñ se
kahīñ na khaa.e tirā panja-e-hinā.ī choT
dil-o-jigar ko batā kar vo loTnā merā
vo pūchhnā tirā kis kis jagah par aa.ī choT
marīz-e-hijr ye samjhā jo chamkī charḳh pe barq
ye aag señkne laa.ī shab-e-judā.ī choT
uThe taḌap ke uThe to gire gire to mare
phaḌak ke rah ga.e vo choT par lagā.ī choT
paḌegī aah jo merī khuleñge band-e-qabā
shab-e-visāl karegī girah-kushā.ī choT
girā huuñ ḳhuld se lanka meñ pahle tuur pe ba.ad
jahāñ jahāñ maiñ gayā saath saath aa.ī choT
vo jhāñk jhāñk ke laḌte haiñ mujh se ye kah kar
jo ham ne vaar kiyā tum ne kyuuñ bachā.ī choT
jo dard dil meñ uThā un kī yaad khich aa.ī
dikhātī hai asar-e-jazb-e-kahrubā.ī choT
uThā uThā ke dil-e-muztarib ne de Tapkā
girā girā ke mujhe choT par lagā.ī choT
nigāh-e-shoḳh se jis dam nigāh-e-shauq laḌī
baḌā hī lutf rahā ye ga.ī vo aa.ī choT
lagā.ī us ne jo Thokar to jī uThā 'mā.il'
nikal ke jaan phir aa.ī kuchh aisī khaa.ī choT