marte nahīñ ab ishq meñ yuuñ to ātish-e-furqat ab bhī vahī hai
taur junūñ ke badle lekin soz-e-mohabbat ab bhī vahī hai
umr kī is manzil par bhī ham tujh par jaan nichhāvar kar deñ
go vo garmī ḳhuuñ meñ nahīñ hai dil meñ qayāmat ab bhī vahī hai
tum kyā jaano jiinā marnā ham ne kin shartoñ par sīkhā
aaj bhī aise log haiñ jin meñ shauq-e-shahādat ab bhī vahī hai
kaise kaise marhale guzre jin meñ us ne saath diyā thā
bhuul ga.e ham lekin us kī ham pe ināyat ab bhī vahī hai
kitne koh-e-girāñ kaaTe haiñ kitne sanam tarāshe 'āzar'
shauq-e-zuhūr kī har patthar meñ raqsāñ vahshat ab bhī vahī hai