Ahmad Husain Mail

aaftab aae chamak kar jo sar-e-jam-e-sharab

Ahmad Husain Mail

Hyderabad, Sindh, Pakistan

1914
āftāb aa.e chamak kar jo sar-e-jām-e-sharāb
rind samjheñ ki hai sādiq sahar-e-jām-e-sharāb
sab ke hāthoñ pe thā shab-bhar safar-e-jām-e-sharāb
har ḳhat-e-dast banā rah-guzar-e-jām-e-sharāb
duḳhtar-e-raz pe gireñ mast patañgoñ kī tarah
sham-e-mahfil ho ye laḳht-e-jigar-e-jām-e-sharāb
thaam le dast-e-subū aa.e jo chalne meñ lachak
ḳhat-e-baġhdād ho mū-e-kamar-e-jām-e-sharāb
tūr-e-sīnā kā gumāñ ho ḳhum-e-mai par sab ko
is tarah hosh uḌaao asar-e-jām-e-sharāb
sāġhar-e-mai meñ nahīñ partav-e-ḳhāl-e-sāqī
hai kaf-e-duḳhtar-e-raz meñ sipar-e-jām-e-sharāb
ḳhaak mai-ḳhāne kī ban jaatī qayāmat pis kar
har qadam par jo lachaktī kamar-e-jām-e-sharāb
aaj mai-noshoñ kā majma.a hai kahāñ ai saaqī
kaun sī bazm meñ hai shor-o-shar-e-jām-e-sharāb
jitne mai-ḳhvār haiñ saaqī se gale milte haiñ
sahar-e-īd banī hai ḳhabar-e-jām-e-sharāb
shīsha-e-mai se uḌā kaag kabūtar kī tarah
naama pahuñchāne chalā nāma-bar-e-jām-e-sharāb
mauj-e-sahbā pe girā sapna-e-mīnā uḌ kar
hai mire sāmne teġh-o-sipar-e-jām-e-sharāb
mai pilātā hai agar Dhāñp le siina saaqī
tere joban ko lagegī nazar-e-jām-e-sharāb
āftāb aa ke sikhātā hai chalan shab-bhar kā
raat ko hotā hai akasr guzar-e-jām-e-sharāb
dast-e-sāqī meñ rahe dast-e-qadah-kash meñ rahe
gardan-e-shīsha-e-sahbā kamar-e-jām-e-sharāb
mast karte haiñ do-ālam ko yahī do ḳhud-mast
lazzat-e-naġhma-e-mutrib asar-e-jām-e-sharāb
kyā ġhazab hai ki tirā hoñTh na chūse 'mā.il'
aur ho tere laboñ tak guzar-e-jām-e-sharāb
Top Urdushayar.com