Ahmad Husain Mail

nikli jo ruh ho gae ajza-e-tan KHarab

Ahmad Husain Mail

Hyderabad, Sindh, Pakistan

1914
niklī jo ruuh ho ga.e ajzā-e-tan ḳharāb
ik sham.a bujh ga.ī to huī anjuman ḳharāb
kyuuñ Dāltā hai ḳhaak ki hogā kafan ḳharāb
maiñ huuñ safed-posh na kar pairahan ḳharāb
jī meñ ye hai ki dil hī ko sajde kyā karūñ
dair-o-haram meñ log haiñ ai jān-e-man ḳharāb
nāzuk diloñ kā husn hai rañg-e-shikastagī
phaTne se kab guloñ kā huā pairahan ḳharāb
duniyā ne muñh pe Daalā hai parda sarāb kā
hote haiñ dauḌ dauḌ ke tishna-dahan ḳharāb
iblīs se ye kahtā hai la.anat kā tauq roz
aadam ḳharāb yā sifat mā-o-man ḳharāb
kyā ḳhushnumā ho ḳhizr baḌhe gar libās-e-umr
qad se jo ho darāz to ho pairahan ḳharāb
merā salām-e-ishq alaihis-salām ko
ḳhusrav idhar ḳharāb udhar kohkan ḳharāb
yūsuf ke husn ne ye zuleḳhā ko dī sadā
lo uñgliyāñ kaTīñ vo hue ta.ana-zan ḳharāb
gar bas chale to aap phirūñ apne gird meñ
ka.abe ko jā ke kaun ho ai jān-e-man ḳharāb
zaḳhmī huā hai naam ko dar-parda husn bhī
yūsuf kā ḳhūn-e-gurg se hai pairahan ḳharāb
va.ada kiyā hai ġhair se aur vo bhī vasl kā
kullī karo huzūr huā hai dahan ḳharāb
ai ḳhāk-e-gor dekh na dhabbā lage kahīñ
rakh duuñ abhī utaar ke gar ho kafan ḳharāb
kaisī bhī ho zamīn ajab hal hai tab-e-tez
'mā.il' jo bo.eñ ham na ho tuḳhm-e-suḳhan ḳharāb
Top Urdushayar.com