Ahmad Husain Mail

wo but pari hai nikalen na baal-o-par tawiz

Ahmad Husain Mail

Hyderabad, Sindh, Pakistan

1914
vo but parī hai nikāleñ na bāl-o-par ta.avīz
haiñ donoñ baazū pe is ke idhar udhar ta.avīz
vo ham nahīñ jo hoñ dīvāne aise kāmoñ se
kise pilāte ho paanī meñ ghol kar ta.avīz
uThegā phir na kaleje meñ mīThā mīThā dard
agar likhe mire dil par tirī nazar ta.avīz
kahāñ vo log ki jin ke amal kā shohrā thā
kuchh is zamāne meñ rakhtā nahīñ asar ta.avīz
pilāyā saañp ko paanī jo man nikāl liyā
nahāne baiThe haiñ choTī se khol kar ta.avīz
vahāñ gayā jo koī dil hī bhuul kar aayā
rakhe haiñ gaaḌ ke us ne idhar udhar ta.avīz
pas-e-fanā bhī mohabbat kā silsila na miTā
tire gale meñ hai aur merī qabr par ta.avīz
ye bhed hai ki na murde Dareñ farishtoñ se
banā ke qabr banāte haiñ qabr par ta.avīz
ye kyā ki zulf meñ rakkhā hai bāñdh kar mirā dil
use bhī ghol ke pī jaao jaan kar ta.avīz
jo chāñd se haiñ badan haiñ vo chāñd tāroñ meñ
guloñ meñ haikaleñ haikal ke tā-kamar ta.avīz
hue haiñ hazrat-e-'mā.il' bhī dil meñ ab qaa.il
kuchh aisā likhtī hai ai jaañ tirī nazar ta.avīz
Top Urdushayar.com