Ahmad Husain Mail

mahshar mein chalte chalte karunga ada namaz

Ahmad Husain Mail

Hyderabad, Sindh, Pakistan

1914
mahshar meñ chalte chalte karūñgā adā namāz
paḌh luñgā pul-sirāt pe 'mā.il' qazā namāz
sar jaa.e umr bhar kī ho yārab adā namāz
aa.e mirī qazā to paḌhūñ maiñ qazā namāz
māñgī najāt hijr se to maut aa ga.ī
roze gale paḌe jo chhuḌāne gayā namāz
dekho ki phañs na jaa.eñ farishte bhī jaal meñ
kyuuñ paḌh rahe ho khol ke zulf-e-rasā namāz
har ik sutūn ḳhāna-e-shar-e-sharīf hai
roza ho yā zakāt ho yā haj ho yā namāz
ye kyuuñ ḳhamīda hai sifat-e-sāhab-e-rukū
kyā paḌh rahī hai dosh pe zulf-e-dotā namāz
niyyat jo bāñdh lī to chalā maiñ huzūr meñ
rahbar mirī namāz mirī rahnumā namāz
saaqī qayām se ye jo aayā rukūa meñ
shīsha ḳhudā ke ḳhauf se paḌhtā hai kyā namāz
uTh uTh ke baiTh baiTh ke kartā hai kyuuñ ġhurūr
zāhid kahīñ baḌhā.e na terī riyā namāz
arkān yaad haiñ mujhe ai dāvar-e-jazā
gar hukm ho to sāmne paḌh luuñ qazā namāz
shaitān ban gayā hai farishta ġhurūr se
kyā fā.eda huā jo paḌhī jā-ba-jā namāz
le jaate haiñ mujhe sū-e-dozaḳh kashāñ kashāñ
roze mire idhar haiñ udhar hai qazā namāz
haqq-ul-yaqīñ kā naam urūj-e-maqām hai
paḌhte haiñ auliyā sar-e-dosh-e-havā namāz
masjid meñ pāñch vaqt duā vo bhī vasl kī
'mā.il' butoñ ke vāste paḌhte ho kyā namāz
Top Urdushayar.com