baaz bhī aao yaad aane se
kyā milegā hameñ satāne se
ḳhūn-e-dil se diye jalā.e haiñ
ho ke guzro ġharīb-ḳhāne se
kaisī be-raunaqī hai mahfil meñ
ek is ke yahāñ na aane se
dar-e-dil vā kiyā to vo aa.e
kaun aatā hai yuuñ bulāne se
tujh se bichhḌe to kab ye sochā thā
is qadar hoñge be-Thikāne se
ham to hairān haiñ ki kyuuñ ham par
zulm hai aur har bahāne se
rahne vaalā hī jab na ho 'āzar'
fā.eda kyā hai ghar sajāne se