kyuuñ shauq baḌh gayā ramazāñ meñ siñgār kā
roza na TuuT jaa.e kisī roza-dār kā
un kā vo shoḳhiyoñ se phaḌaknā palañg par
vo chhātiyoñ pe loTnā phūloñ ke haar kā
huur aa.e ḳhuld se to biThā.ūñ kahāñ use
ārāsta ho ek to konā mazār kā
shīshoñ ne tarz uḌaa.ī rukū o qayām kī
kyā in meñ hai lahū kisī parhez-gār kā
kyuuñ ġhash hue kalīm tajallī-e-tūr par
vo ik charāġh thā mire dal ke mazār kā
ba.ad-e-fanā bhī saaf nahīñ dil raqīb se
gumbad khaḌā huā hai lahad par ġhubār kā
kasrat kā rañg shāhid-e-vahdat kā hai banāv
vo ek hī se naam hai hazda hazār kā
nāqūs bin ke pūchhne jā.ūñ agar mizāj
but bhī kaheñge shukr hai parvardigār kā
dūlhā kī ye barāt hai rasmeñ adā karo
dar par janāza aayā hai ik jāñ-nisār kā
kyā kyā taḌap taḌap ke sarāfīl gir paḌe
dam aa gayā jo suur meñ mujh be-qarār kā
surma ke saath phail ke kyā vo bhī miT gayā
kyuuñ naam tak nahīñ tirī āñkhoñ meñ pyaar kā
kyā raat se kisī kī nazar lag ga.ī ise
achchhā nahīñ mizāj dil-e-be-qarār kā
āñkheñ mirī faqīr huiiñ shauq-e-dīd meñ
tasma kamar meñ hai nigah-e-intizār kā
lūTūñ maze jo bāzī-e-shatranj jiit luuñ
is khel meñ to va.ada hai bos-e-kanār kā
allāh mirā ġhafūr mohammad mire shafī.a
'mā.il' ko ḳhauf kuchh nahīñ roz-e-shumār kā