Ahmad Husain Mail

jumbish mein zulf-e-pur-shikan ek is taraf ek us taraf

Ahmad Husain Mail

Hyderabad, Sindh, Pakistan

1914
jumbish meñ zulf-e-pur-shikan ek is taraf ek us taraf
gardish meñ chashm-e-sehr-e-fan ek is taraf ek us taraf
aariz pe zulf-e-pur-shikan ek is taraf ek us taraf
haiñ aaj do sūraj-gahan ek is taraf ek us taraf
matlab ishāroñ se kahā maiñ in ishāroñ ke fidā
āñkheñ bhī haiñ garm-e-suḳhan ek is taraf ek us taraf
jis dam sikandar mar gayā hāl-e-tahī-dastī khulā
the haath bairūn-e-kafan ek is taraf ek us taraf
jā.egā do ho kar ye dil aadhā idhar aadhā udhar
khīñchegī zulf-e-pur-shikan ek is taraf ek us taraf
ġhairoñ se khel khelo na tum kar deñge rusvā hashr meñ
haiñ do farishte jān-e-man ek is taraf ek us taraf
aariz pe simTe ḳhud-ba-ḳhud zulfoñ ke ghūñgar vaale baal
hai nāfa-e-mushk-e-ḳhutan ek is taraf ek us taraf
shīrīñ kā ḳhvāhāñ hashr meñ ḳhusrav bhī hai farhād bhī
khīñcheñge donoñ pairahan ek is taraf ek us taraf
ghūñgaT jo gāloñ se uThā tār-e-nazāra jal gayā
sūraj the do jalva-figan ek is taraf ek us taraf
qātil idhar jarrāh udhar maiñ nīm-bismil ḳhaak par
ik tīr-e-kash ik tīr-e-zan ek is taraf ek us taraf
āñkhoñ ke andar jaa.e ġhair āñkhoñ ke uupar hai naqāb
ḳhalvat meñ haiñ do anjuman ek is taraf ek us taraf
vo hāthā-pā.ī ham ne kī bistar pe TuuTe aur gire
baazū ke donoñ nau-ratan ek is taraf ek us taraf
pesh-e-ḳhudā roz-e-jazā maiñ bhī huuñ chup qātil bhī chup
goyā khaḌe haiñ be-dahan ek is taraf ek us taraf
ruḳhsār par ḳhat kā nishāñ gul par huā sabza ayaañ
haiñ donoñ aariz do chaman ek is taraf ek us taraf
kāfir bhī huuñ momin bhī huuñ jalnā bhī hai gaḌnā bhī hai
khīñcheñge shaiḳh-o-barahman ek is taraf ek us taraf
ghabrā na jaa.eñ dil-jigar hai band turbat meñ havā
pañkhe hoñ do nazd-e-kafan ek is taraf ek us taraf
yārab uThūñ jab qabr se do but raheñ ham-rah mire
ġhārat-gar-e-hindu-o-dakan ek is taraf ek us taraf
kahte haiñ anmol us ko sab kahte haiñ kuchh gol us ko sab
kyā chiiz hai ai jān-e-man ek is taraf ek us taraf
jannat kī hūreñ aa.iiñ haiñ 'mā.il' dabāne mere paañv
baiThī haiñ nazdīk-e-kafan ek is taraf ek us taraf
Top Urdushayar.com