khaḌe haiñ muusā uThāo pardā dikhāo tum āb-o-tāb-e-āriz
hijāb kyuuñ hai ki ḳhud tajallī banī huī hai hijāb-e-āriz
na ruk sakegī ziyā-e-āriz jo sadd-e-rah ho naqāb-e-āriz
vo hogī be-parda rakh ke pardā ġhazab kī chanchal hai tāb-e-āriz
chhupā na muñh donoñ haath se yuuñ taḌaptī hai barq-e-tāb-e-āriz
lagā na de aag uñgliyoñ meñ ye garmī-e-iztirāb-e-āriz
jo un ko lipTā ke gaal chūmā hayā se aane lagā pasīna
huī hai bosoñ kī garm bhaTTī khiñche na kyuuñ kar sharāb-e-āriz
parī jo dekhe kahe taḌap kar jo huur dekhe kahe phaḌak kar
tumhārā gesū javāb-e-gesū tumhārā aariz javāb-e-āriz
huzūr ghuñghaT uThā ke aa.eñ baḌī chamak kis meñ hai dikhā.eñ
idhar rahe āftāb-e-mahshar udhar rahe āftāb-e-āriz
chhupānā kyā ek kā thā manzūr aaj tak haiñ jo chaar mash.hūr
zabūr tauret mus.haf injīl pāñchvīñ hai kitāb-e-āriz
na kyuuñ ho da.avā barābarī kā vahāñ milā til yahāñ suvaidā
ye nuqta-e-intiḳhāb-e-āriz hai vo nuqta-e-intiḳhāb-e-āriz
paḌā huuñ ġhash meñ mujhe suñghā do pasīna chehre kā zulf kī bū
nahīñ hai kam laḳhlaḳhe se mujh ko ye mushk-e-gesū gulāb-e-āriz
jo sho.ala-rū muñh chhupā ke niklā dhuāñ sar-e-rāh kuchh kuchh uTThā
lagī vo ātish bane hai jal kar naqāb-e-āriz kabāb-e-āriz
na jhepo sub.h-e-visāl dekho tum aañkh se aañkh to milāo
liye haiñ gin gin ke maiñ ne bose zabān par hai hisāb-e-āriz
karo na ġhusse se laal chehrā bhavoñ meñ Daalo na bal ḳhudārā
nahīñ majāl-e-jalāl-e-abrū nahīñ hai tāb-e-itāb-e-āriz
jo gaal par gaal ham rakheñge shab-e-visāl un ke haath uTheñge
tamāñche māreñge pyaar se vo bajeñgge chañg-o-rubāb-e-āriz
kamar ko gardan ko dast-o-lab ko visāl meñ lutf de rahā hai
shabāb-e-zānū shabāb-e-bāzū shabāb-e-sīna shabāb-e-āriz
janāb-e-'mā.il' ye kūdak-e-dil butoñ kī ulfat meñ hogā kāmil
paḌhāo qur.āñ ke badle is ko bayāz-e-gardan kitāb-e-āriz