Rashid Aazar

kam se kam apna bharam to nahin khoya hota

Rashid Aazar

Hyderabad, Telangana, India

1931
kam se kam apnā bharam to nahīñ khoyā hotā
dil ko ronā thā to tanhā.ī meñ royā hotā
sub.h se sub.h talak jāgte hī umr kaTī
ek shab hī sahī bhar niiñd to soyā hotā
DhūñDhnā thā mire dil ko to kabhī palkoñ se
mere ashkoñ ke samundar ko biloyā hotā
dekhnā thā ki nazar chubhtī hai kaise to kabhī
is ke paikar meñ nigāhoñ ko guḌoyā hotā
jab yaqīñ us ko na paane kā huā to jaanā
yahī behtar thā ki pā kar use khoyā hotā
na milā koī bhī ġham bāñTne vaalā varna
apnā bojh apne hī kāñdhoñ pe na Dhoyā hotā
us ko puujā na kabhī jis ko tarāshā 'āzar'
naam is tarah to apnā na Duboyā hotā
Top Urdushayar.com