mālūm hai vo mujh se ḳhafā hai bhī nahīñ bhī
mere liye hoñToñ pe duā hai bhī nahīñ bhī
muddat huī is raah se guzre hue us ko
āñkhoñ meñ vo naqsh-e-kaf-e-pā hai bhī nahīñ bhī
muñh khol ke bolā nahīñ jaatā ki shifā de
us paas mire dil kī davā hai bhī nahīñ bhī
kahte the kabhī ham ki ḳhudā hai to kahāñ hai
ab soch rahe haiñ ki ḳhudā hai bhī nahīñ bhī
rakkhe bhī nazar bazm meñ dekhe bhī nahīñ vo
auroñ se ye andāz judā hai bhī nahīñ bhī
go ziist hai miTtī huī sāñsoñ kā tasalsul
qistoñ meñ ye jiine kī sazā hai bhī nahīñ bhī
yā dil meñ kabhī yā kabhī saḌkoñ pe mileñge
ham ḳhāna-ḳharāboñ kā patā hai bhī nahīñ bhī
ham se jo banā sab ke liye ham ne kiyā hai
mālūm hai nekī kā sila hai bhī nahīñ bhī
vo mom bhī hai mere liye sañg bhī 'āzar'
kahte haiñ ki is dil meñ vafā hai bhī nahīñ bhī