hai garm mulkoñ kā sūraj tire jalāl kī gard
ġhurūr-e-kāhkashāñ hai tire jamāl kī gard
mohabbatoñ ke ḳharāboñ meñ dhuup kam niklī
kabhī judā.ī ke kohre kabhī malāl kī gard
kabhī to guzre udhar se bhī kārvān-e-bahār
kabhī to pahuñche yahāñ bhī tire ḳhayāl kī gard
hamāre bāloñ pe mausam hai barf-bārī kā
hamāre chehre pe uḌtī hai māh-o-sāl kī gard
tamām ālam-e-imkāñ hai ik ḳhayāl meñ gum
na pā sakegā zamāna kabhī ḳhayāl kī gard