ārzūeñ nā-rasā.ī rū-ba-rū maiñ aur tū
kyā ajab qurbat thī vo bhī maiñ na tū maiñ aur tū
jhuTpuTā ḳhūnī ufuq kī vus.ateñ ḳhāmoshiyāñ
fāsle do peḌ tanhā hū-ba-hū maiñ aur tū
ḳhushk āñkhoñ ke jazīroñ meñ bagūloñ kā ġhubār
dhaḌkanoñ kā shor surma-dar-gulū maiñ aur tū
bārish-e-sañg-e-malāmat aur ḳhilqat shahr kī
pyaar ke māsūm jazboñ kā lahū maiñ aur tū
ajnabī nazroñ ke shole har taraf phaile hue
dushman-e-jāñ raah o manzil kāḳh-o-kū maiñ aur tū
nafratoñ kī gard rasta kāTtī har moḌ par
ishq kī ḳhushbū meñ uḌte kū-ba-kū maiñ aur tū
ehtirām-e-ādmī ehsās-e-ġham marg-e-anā
aaj kis kis zaḳhm ko karte rafū maiñ aur tū