har haqīqat ko gumāñ tak sochūñ
maiñ bahāroñ ko ḳhizāñ tak sochūñ
guftugū talḳh haqā.eq se bhī ho
ḳhvāb hī ḳhvāb kahāñ tak sochūñ
har qadam ek muamma ban jaa.e
zindagī tujh ko jahāñ tak sochūñ
soch ban jaatī hai girdāb-e-balā
ek hī baat kahāñ tak sochūñ
hadd-e-parvāz mirī itnī hai
lā-makāñ ko bhī makāñ tak sochūñ
dastaras kis kī mudāvā kaisā
dard ko sirf fuġhāñ tak sochūñ
nāpūñ jazboñ ko bhī paimānoñ se
ashk ko āb-e-ravāñ tak sochūñ
tū nahīñ paas tirī yaad to hai
tū hī to sūjhe jahāñ tak sochūñ