vā chashm-e-tamāshā lab-e-iz.hār silā hai
koī pas-e-dīvār mujhe dekh rahā hai
miTTī to mirī mar bhī chukī zinda sadā hai
maiñ chup huuñ magar dard mirā bol rahā hai
ashkoñ kā hujūm aaj jise DhūñD rahā hai
vo dard ke dariyā meñ kahīñ Duub gayā hai
kyā zahr sā har samt fazāoñ meñ ghulā hai
jo chehra bhī dekho vahī utrā sā huā hai
ab ḳhuun ke ashkoñ se chaman sīñchnā hogā
bhīge hue mausam ne ye paiġhām diyā hai
vā hoñToñ se kyā bolūñ ki āñkheñ to silī haiñ
sahrāoñ meñ yāroñ ne mujhe chhoḌ diyā hai
guzrī huī kal ke hue sikke sabhī khoTe
jo aaj kā sikka hai vahī qibla-numā hai
kab dahlā hai āfāt-e-zamāna se mirā dil
tūfānoñ ko aanā hai to darvāza khulā hai
logoñ ne to sūraj kī chakā-chauñd ko puujā
maiñ ne to tire saa.e ko bhī sajda kiyā hai