tumhārā naam le kar dar-ba-dar hotā rahūñgā
ki barsoñ dāġh-e-dil ashkoñ se maiñ dhotā rahūñgā
tū ḳhushiyāñ hī sameT aur ġham mujhe de de maiñ huuñ nā
tire hisse kī ġhamgīnī ko maiñ rotā rahūñgā
jagāyā muntazir āñkhoñ ne barsoñ ab ye sochā
ki marne kā bahāna kar ke maiñ sotā rahūñgā
mujhe bas ek lamha sochne do zindagī bhar
kise paane kī ḳhātir maiñ kise khotā rahūñgā
mire shāne thake haare haiñ 'āzar' sochtā huuñ
kahāñ tak apne sar kā bojh maiñ Dhotā rahūñgā