Khatir Ghaznavi

raaz-e-dil jo teri mahfil mein bhi ifsha na hua

Khatir Ghaznavi

Peshawar, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1925-2008
rāz-e-dil jo tirī mahfil meñ bhī ifshā na huā
yā sar-e-dār huā yā sar-e-mai-ḳhāna huā
ek ham haiñ ki tasavvur ki tarah saath rahe
ek tū hai ki jo ḳhalvat meñ bhī tanhā na huā
kyā bharosa hai tire lutf-o-karam kā ai dost
jis tarah sāya-e-dīvār huā yā na huā
shabnamistāñ meñ utar aa.ī thī sūraj kī kiran
ā.ina-ḳhāna-e-gul thā ki sanam-ḳhāna huā
is qadar rañj sahe dil ne vafā meñ 'ḳhātir'
aaj vo ham se jo bichhḌe bhī to sadma na huā
Top Urdushayar.com