Khatir Ghaznavi

kaisi chali hai ab ke hawa tere shahr mein

Khatir Ghaznavi

Peshawar, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1925-2008
kaisī chalī hai ab ke havā tere shahr meñ
bande bhī ho ga.e haiñ ḳhudā tere shahr meñ
tū aur harīm-e-nāz meñ pā-basta-e-hinā
ham phir rahe haiñ ābla-pā tere shahr meñ
kyā jaane kyā huā ki pareshān ho ga.ī
ik lahza ruk ga.ī thī sabā tere shahr meñ
kuchh dushmanī kā Dhab hai na ab dostī kā taur
donoñ kā ek rañg huā tere shahr meñ
shāyad tujhe ḳhabar ho ki 'ḳhātir' thā ajnabī
logoñ ne us ko luuT liyā tere shahr meñ
Top Urdushayar.com