insāñ huuñ ghir gayā huuñ zamīñ ke ḳhudāoñ meñ
ab bastiyāñ basā.ūñgā jā kar ḳhalāoñ meñ
yādoñ ke naqsh kanda haiñ nāmoñ ke ruup meñ
ham ne bhī din guzāre daraḳhtoñ kī chhāñv meñ
dauḌā ragoñ meñ ḳhuuñ kī tarah shor shahr kā
ḳhāmoshiyoñ ne chhīn liyā chain gaañv meñ
yuuñ to ravāñ haiñ mere ta.āqub meñ manzileñ
lekin maiñ Thokaroñ ko lapeTe huuñ paañv meñ
vo aa ke chal diye haiñ ḳhayāloñ maiñ gum rahā
qadmoñ kī chaap dab ga.ī dil kī sadāoñ meñ
sar rakh ke so gayā huuñ ġhamoñ kī salīb par
shāyad ki ḳhvāb le uḌeñ hañstī fazāoñ meñ
ek ek kar ke log nikal aa.e dhuup meñ
jalne lage the jaise sabhī ghar kī chhāñv meñ
sahrā kī pyaas le ke chalā jin ke saath saath
paanī kī ek buuñd na thī un ghaTāoñ meñ
jalte gulāb meñ na zarā sī bhī aañch thī
ham to jale haiñ hijr kī ThanDī ḳhizāoñ meñ