Khatir Ghaznavi

fariyaad bhi hai su-e-adab apne shahr mein

Khatir Ghaznavi

Peshawar, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1925-2008
fariyād bhī hai sū-e-adab apne shahr meñ
ham phir rahe haiñ mohr-ba-lab apne shahr meñ
ab kyā dayār-e-ġhair meñ DhūñDeñ ham āshnā
apne to ġhair ho ga.e sab apne shahr meñ
ab imtiyāz-e-dushmanī-o-dostī kise
hālāt ho ga.e haiñ ajab apne shahr meñ
jo phuul aayā sabz qadam ho ke rah gayā
kab fasl-e-gul hai fasl-e-tarab apne shahr meñ
jo rāñda-e-zamāna the ab shahryār haiñ
kis ko ḳhayāl-e-nām-o-nasab apne shahr meñ
ik aap haiñ ki saarā zamāna hai aap kā
ik ham ki ajnabī hue ab apne shahr meñ
'ḳhātir' ab ahl-e-dil bhī bane haiñ zamāna-sāz
kis se kareñ vafā kī talab apne shahr meñ
Top Urdushayar.com