Khatir Ghaznavi

teri talab thi tere aastan se lauT aae

Khatir Ghaznavi

Peshawar, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1925-2008
tirī talab thī tire āstāñ se lauT aa.e
ḳhizāñ-nasīb rahe gulsitāñ se lauT aa.e
ba-sad-yaqīn baḌhe hadd-e-gumāñ se lauT aa.e
dil o nazar ke taqāze kahāñ se lauT aa.e
sar-e-niyāz ko paayā na jab tire qābil
ḳharāb-e-ishq tire āstāñ se lauT aa.e
qafas ke uns ne is darja kar diyā majbūr
ki us kī yaad meñ ham āshiyāñ se lauT aa.e
bulā rahī haiñ jo terī sitāra-bār āñkheñ
mirī nigāh na kyuuñ kahkashāñ se lauT aa.e
na dil meñ ab vo ḳhalish hai na zindagī meñ taḌap
ye kah do phir mire dard-e-nihāñ se lauT aa.e
guloñ kī mahfil-e-rañgīñ meñ ḳhaar ban na sake
bahār aa.ī to ham gulsitāñ se lauT aa.e
fareb ham ko na kyā kyā is aarzū ne diye
vahī thī manzil-e-dil ham jahāñ se lauT aa.e
Top Urdushayar.com