Khatir Ghaznavi

koi kali hai na ghuncha na gul bara-e-saba

Khatir Ghaznavi

Peshawar, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1925-2008
koī kalī hai na ġhuncha na gul barā-e-sabā
chaman meñ kāñTe haiñ dāman bachā ke aa.e sabā
na ab tilism-e-bahārāñ na ab fusūn-e-jamāl
vo lamhe ḳhvāb hue ḳhvāb bhuul jaa.e sabā
kabhī fazāoñ meñ ḳhushbū uḌaa.e phirtī thī
magar ye din ki bahāroñ meñ ḳhaak uḌaa.e sabā
kalī hai mohr-ba-lab phuul hai garebāñ chaak
ajal kī dhuup hai phirtī hai saa.e saa.e sabā
na kuchh nishāñ kī sadā hai na āhaToñ ke nishāñ
chaman meñ DhūñDte phirte haiñ naqsh-e-pā-e-sabā
ghuTan hai aisī ki sarsar ko bhī taraste haiñ
kise pukāreñ kahāñ jaa.eñ ai ḳhudā-e-sabā
harīm-e-ġhuncha meñ ḳhushbū simaT ke baiThī hai
hijāb uTThe jo sahn-e-chaman meñ aa.e sabā
ḳhabar nahīñ mujhe kis samt le ke uḌ jaa.e
ka.ī dinoñ se mire sar meñ hai havā-e-sabā
bhaTaktī phirtī hai sahrā-e-dard meñ 'ḳhātir'
bichhaḌ gayā ho koī jaise āshnā-e-sabā
Top Urdushayar.com