uljhe uljhe dhāge dhāge se ḳhayāloñ kī tarah
ho gayā huuñ in dinoñ tere savāloñ kī tarah
apne dil kī vus.atoñ meñ har taraf bhaTkā phirā
be-karāñ mub.ham sarāboñ meñ ġhazāloñ kī tarah
ye mirā ehsās hai yā jabr-e-mausam kā asar
ab kī rut mahke nahīñ gul pichhle sāloñ kī tarah
asr-e-hāzir kī jabīñ par talḳhiyāñ kanda huiiñ
tan ga.e hālāt apne gird jāloñ kī tarah
dasht-e-ġham meñ āñdhiyoñ ke daar sahne ke liye
ḳhushk patte uTh rahe haiñ aaj Dhāloñ kī tarah
zulmat-e-maġhrib ko 'ḳhātir' koī ye paiġhām de
ham bhī ab ubhreñge mashriq se ujāloñ kī tarah