Khatir Ghaznavi

pahli mohabbaton ke zamane guzar gae

Khatir Ghaznavi

Peshawar, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1925-2008
pahlī mohabbatoñ ke zamāne guzar ga.e
sāhil pe ret chhoḌ ke dariyā utar ga.e
terī anā niyāz kī kirneñ bujhā ga.ī
jazbe jo dil meñ ubhre the sharminda kar ga.e
dil kī fazā.eñ aa ke kabhī ḳhud bhī dekh lo
tum ne jo daaġh baḳhshe the kyā kyā nikhar ga.e
tere badan kī lau meñ karishma numū kā thā
ġhunche jo terī sej pe jaage sañvar ga.e
sadiyoñ meñ chand phuul khile aur samar bane
lamhoñ meñ āñdhiyoñ ke thapeḌoñ se mar ga.e
shab bhar badan manāte rahe jashn-e-māhtāb
aa.ī sahar to jaise andheroñ se bhar ga.e
mahfil meñ terī aa.e the lekar nazar kī pyaas
mahfil se terī le ke magar chashm-e-tar ga.e
qatre kī jur.atoñ ne sadaf se liyā ḳhirāj
dariyā samundaroñ meñ mile aur mar ga.e
Top Urdushayar.com