Rashid Aazar

samajh raha hai teri har KHata ka hami mujhe

Rashid Aazar

Hyderabad, Telangana, India

1931
samajh rahā hai tirī har ḳhatā kā haamī mujhe
dikhā rahā hai ye ā.īna merī ḳhāmī mujhe
zamāñ kī qaid hai koī na hai makāñ kī ḳhabar
kahāñ kahāñ liye phirtī hai tishna-kāmī mujhe
nahīñ ki jur.at-e-iz.hār-e-ishq mujh meñ nahīñ
tabāh kar ke rahī merī nek-nāmī mujhe
koī nahīñ mirā saame isī meñ ḳhush huuñ maiñ
ki raas aa.ī bahut merī ḳhud-kalāmī mujhe
maza milā na kabhī manzil-āshnā.ī kā
kuchh aisā kar ga.ī āvāra tez-gāmī mujhe
hasīn chehroñ ko tevarī ke bal bigāḌte haiñ
girāñ guzartī hai fitrat kī bad-nizāmī mujhe
sharāb-e-tund kī talḳhī kā zā.iqa jaise
pasand aa.ī hasīnoñ kī bad-kalāmī mujhe
nashāt-e-takya-e-zānū se sar uThāne tak
sitāra sub.h kā detā rahā salāmī mujhe
maiñ farsh-e-rāh yūñhī to nahīñ huā 'āzar'
niDhāl kar ke rahī us kī ḳhush-ḳhirāmī mujhe
Top Urdushayar.com