Khatir Ghaznavi

kis samt le gain mujhe is dil ki dhaDkanen

Khatir Ghaznavi

Peshawar, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1925-2008
kis samt le ga.iiñ mujhe is dil kī dhaḌkaneñ
pīchhe pukārtī rahīñ manzil kī dhaḌkaneñ
go tere iltifāt ke qābil nahīñ magar
miltī haiñ tere dil se mire dil kī dhaḌkaneñ
maḳhmūr kar gayā mujhe terā ḳhirām-e-nāz
naġhme jagā ga.iiñ tirī pāyal kī dhaḌkaneñ
lahroñ kī dhaḌkaneñ bhī na un ko jagā sakīñ
kis darja be-niyāz haiñ sāhil kī dhaḌkaneñ
vahshat meñ DhūñDtā hī rahā qais umr bhar
gum ho ga.iiñ bagūloñ meñ mahmil kī dhaḌkaneñ
lahrā rahā hai terī nigāhoñ meñ ik payām
kuchh kah rahī haiñ saaf tire dil kī dhaḌkaneñ
ye kaun chupke chupke uThā aur chal diyā
'ḳhātir' ye kis ne luuT liiñ mahfil kī dhaḌkaneñ
Top Urdushayar.com