Khatir Ghaznavi

faza ka zarra zarra ishq ki taswir tha kal shab jahan main tha

Khatir Ghaznavi

Peshawar, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1925-2008
fazā kā zarra zarra ishq kī tasvīr thā kal shab jahāñ maiñ thā
maiñ ḳhud apnī nazar meñ sāhib-e-tauqīr thā kal shab jahāñ maiñ thā
jise dekhā vo dīvāna thā naqsh-e-dilnashīñ ke husn-e-ādil kā
jise sochā fanā ke rañg kī tafsīr thā kal shab jahāñ maiñ thā
mirā dil mere jis pahlū meñ raqsāñ thā usī pahlū meñ jannat thī
ye manzar chashm-e-vā ke ḳhvāb kī ta.abīr thā kal shab jahāñ maiñ thā
vo kyā lau thī ki jis kī ik kiran meñ sūrajoñ kī vus.ateñ gum thiiñ
mirā saarā jahāñ tanvīr hī tanvīr thā kal shab jahāñ maiñ thā
imārat jism kī mismār hotī jā rahī har nafas lekin
dil-e-vīrāñ ko zo.am-e-rif.at-e-ta.amīr thā kal shab jahāñ maiñ thā
havā ne ehtirām-e-mahfil-e-qudsī meñ apnā.ī ravish gul kī
fidā is ḳhāmushī par jauhar-e-taqrīr thā kal shab jahāñ maiñ thā
Top Urdushayar.com