saaya thā merā aur mire shaidā.iyoñ meñ thā
ik anjuman sā vo mirī tanhā.iyoñ meñ thā
chhantī thī shab ko chāñdnī bādal kī oT se
paikar kā is ke aks sā parchhā.iyoñ meñ thā
koyal kī kuuk bhī na javāb is kā ho sakī
lahrā tire gale kā jo shahnā.iyoñ meñ thā
jis dam mirī imārat-e-dil sho.ala-posh thī
maiñ ne sunā ki vo bhī tamāshā.iyoñ meñ thā
uTThā usī se ziist ke ehsās kā ḳhamīr
jo dard-e-dil ke zaḳhm kī pahnā.iyoñ meñ thā
jab shahr meñ fasād huā to amīr-e-shahr
dekhā gayā ki aap hī balvā.i.oñ meñ thā
behad hasīn thā magar 'āzar' mujhe to bas
yaad is qadar rahā ki vo harjā.iyoñ meñ thā