sukh dukh meñ garm-o-sard meñ sailāb meñ bhī haiñ
yādeñ tumhārī mausam-e-shādāb meñ bhī haiñ
hone lagī shikast jo har moḌ par mujhe
dushman pata chalā mire ahbāb meñ bhī haiñ
dāman ko paak rakhne ke haq meñ thā maiñ magar
vo kah rahī thī daaġh to mahtāb meñ bhī haiñ
dillī suḳhan-varoñ kā hai markaz magar miyāñ
urdu ke kuchh charāġh to punjab meñ bhī haiñ
rañgīn martabān meñ ye ḳhush nahīñ to kyā
kuchh machhliyāñ udaas to tālāb meñ bhī haiñ