is qadar hasti-e-mauhūm se sharmātā huuñ
zikr jiine kā jo aatā hai to mar jaatā huuñ
maut ne kitne bakheḌoñ se chhuḌāyā mujh ko
na taḌaptā huuñ na rotā huuñ na chillātā huuñ
kaam mujh se nahīñ hotā koī juz jurm-o-gunāh
mehnat-e-kātib-e-a.amāl se sharmātā huuñ
ek ḳhat yaar ko likhtā huuñ jo betābī meñ
dūsrā kātib-e-a.amāl se likhvātā huuñ
ek hamdard nahīñ ālam-e-tanhā.ī meñ
mujh ko samjhātā hai dil dil ko maiñ samjhātā huuñ