hayāt dī to use ġham kā silsila bhī kiyā
qazā ke saath qadar ko mirī sazā bhī kiyā
usī ne dar-ba-darī ko na.ī talāsh bhī dī
burā to us ne kyā hī magar bhalā bhī kiyā
baġhair māñge hī denā hai shān-e-maulā.ī
mirā vaqār bhī rakkhā mujhe atā bhī kiyā
tazād us kī mohabbat kā maiñ hī jāntā huuñ
jalāyā dhuup meñ āñchal kā aasrā bhī kiyā
ajiib tarah kī hai shān-e-dilbarī 'āzar'
ki mujh se ḳhush bhī rahā aur mujhe ḳhafā bhī kiyā